Showing posts with label Love SMS. Show all posts
Showing posts with label Love SMS. Show all posts

Thursday, 26 May 2011

Wajood apna, Na Rooh apni ...

Wajood apna, Na Rooh apni ...
Bas ik Tamasha Ye Zeest thehri ...

Na Dil lagi main Sakoon paya,
Na Ashqi mein Qarar paya ...
Na Wasl lmhy hi Raas aye,
Na Firaaq hi Ham guzar pye ...

Ajab ye Chahat k Marhaly hain ...
Na Jeet paye,
Na Haar paye,

Na hi Yadon ki Dhunnd Utri,
Na dil k Daman ko jhaar paye ...

Na ankhein Khwabon ko Dhond pa'een,

Na Khawab Ankhon ko Dhond paye ...
Bs ik Tamasha Ye Zeest" thehri !!

Tuesday, 19 April 2011

Bikharna tootna bhi aor anaa ke saath bhi rehna...

Bikharna tootna bhi aor anaa ke saath bhi rehna 
Sitam eejaad bhi karna, wafa ke saath bhi rehna 

Tera andaaz aisa hai andheron ki kahaani main 
Jalaana kuch diye bhi aur hawa ke saath bhi rehna 
Yahaan to shokhiyon ko apni zebaaii se matlab hai 
Lahu main bhi machalna aur hina ke saath bhi rehna 
Ajab rang-e-ta'aluq hai mohabbat ka mere dil se 
Keh us ko torna bhi aur sada kay saath bhi rehna 
Haram aur dair sab naqsh-e-mohabbat hain, to dil ko hai 
Khad-o-khaal- e-butaan main bhi, khuda ke saath bhi rehna

Tuesday, 12 April 2011

Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Men Sayahi.


"PARVEEN SHAKIR"

Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Men Sayahi.
Jb Koi Armaan Dil Men Machalta Hi Nhi.
 
Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Pr.
Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Men Milta Hi Nhi
 
Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Men.
Magr Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi.
 
Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga
Pr Suna Hai Wo Marne Se Phly Kisi Se Milta Nhi.

Saturday, 9 April 2011

My Search is Over, Beautiful Love Poem

I've searched for you
Beyond the stars,
Throughout the years,
And so very far
 
Somehow I knew
That you were out there,
But that's the thing...
I didn't know where.
 
When I couldn't find you
I just kept crying,
But I couldn't give up...
I had to keep trying.
 
He's out there, I'm thinking.
I continued my search
For the love I was seeking.
 
From hour to hour,
And from place to place,
I didn't give up
In this heart-rushing race
 
The days went by,
As well as the years
It had brought me nothing
But painful tears
 
Then all of a sudden,
There you stood...
Like a beautiful angel
Floating in the woods
 
Where have you been?
All of my life
I long for the moment
To call you mine.
 
In love's embrace
We'll be together.
Our love is protected,
And will last forever.
 
Fate has lead me to you,
The one from above...
My search is over,
I've finally found you,
My one true love

Wednesday, 23 March 2011

Muqarrar waQt hota hy...

Muqarrar waQt hota hy muhabat ki namazon ka,
Adaa jin ki nikal jaey, Qaza bhi choot jati hy,
Mohabat ki namazon me, imamat eik ko sonpo,
Isy chahne, usy chahne, se niyat toot jati hai,
Mohabat dil ka sajda hai jo hai toheed per Qaym,
Niyyat k shirk walon se, mohabat rooth jati hai.

Friday, 18 March 2011

Tujhe bhul jana naheen mere bas main....


Tujhe apne dil se main kaise bhula doon
Teri yaad hi to meri zindagi hay
Tujhe kiya khabar hay k tuj se bichar kar
Tarap kar har ek pal guzara hay main ne
Judai k gham se pareshan ho kar
Kahi bar tuj ko poukara hay main ne
Sada de raha hay tujhe piyar mera
Meri zindagi tue kahan kho gai hay
Tujhe bhul jana naheen mere bas main
Mujhye dard de kar chale jane wale
Tere gham se daman main kaise chura loun
Har ek baat par muj ko yaad ane wale
In aankhon main har dam jale ga tera gham
Kabhi na bujhe jo yeh woh roshni hay

Monday, 28 February 2011

Dil yeh kahey

Dil yeh kahye tue paas rahey har dam
Dil lene ka dil dene ka hay mousam
Mere sharmile khawaboon main
Jab se hay samaya koi
Meri bholi bhali aankheen
Rahti hain khoi khoi
Palkoon pe hanse armano ki shabnam
Dil yeh kahe tue paas rahe har dam
Jab chand ki doli le kar taroon ki toli nikle
Dil machal machal kar dharke
Aur dharak dharak kar machle
Ulfat main mila hay mitha mitha gham
Dil lene ka dil dene ka hay mousam

Sunday, 27 February 2011

Tarsi hui aankhon ko...

 

Tarsi hui aankhon ko
Aa jaye karaar aa ja
Rah rah k bulata hay
Tuj ko mera piyar aa ja
Yeh rang bhari wadi
Yeh phool yeh mehkareen
Deti hain sada tuj ko
Jharnon ki yeh jhankareen
Is gati hui rut main
Aey jaan_e_bahar aa ja
Rukh moor na leen apna
Jhonke yeh hawaoon k
Badle huwe taiwar hain
Makhmoor fazaoon k
Tue aye to in par bhi
Aa jaye nikhaar aa ja
Agar muj se tere jalwe
Sharmayeen ujaloon main
Moun dhaanp k aa jana
Tue mere khayaloon main
Milna ho to milne k
Raste hain hazaar aa ja

Bari takheer kr di hai kisi ne...

Chamn veeran ha ab tak Shagoofy khil nahi Paey...
Bari takheer kr di hai kisi ne muskurany mein..

Insan kabhi dil ka...

Fitrat or halaat mein tasaadum hy warna ...

Insan kabhi dil ka bura nahi hota ...

Sote main bhi cheare ko...

Sote main bhi cheare ko
Aanchal main chupae rakhti houn
Dar lagta hay
Palkon ki halki si larzesh
Honton ki mohom si janbesh
Galoon par rah rah kar utarne wali dhanak
Lahou main chand rachati is nani si khushi
Ka naam na le lee
Neend main ai hui muskan
Kisi se dil ki baat na kah de

Bheegi hui ik sham ki dehleez pe.....

Bheegi hui ik sham ki dehleez pe bethey,
Main dil k sulagney ka sabab soch raha houn,

Duniya ki to aadat hai badal leti hai aankhein,
Main terey badalney ka sabab soch raha houn ...

Friday, 25 February 2011

Tumhain ulfat nahi mujh se...

Tumhain ulfat nahi mujh se, mujhey nafrat nhi tum se.
Ajab shikwa sa rehta hy, tumhain mujh se muje tum se.!!

Khud ko ab koi tamasha nahi hone deynge...

Khud ko ab koi tamasha nahi hone deynge
Hum tumheyn shahr mein ruswaa nahi hone deynge
Jism ki ret per us ne jo lagaye the nishaan
Mere nakhun unheyn dhundhla nahi hone deynge
Khawhish-e-kar-e masihaaii bahot hai lekin
Zakhm-e-dil hum tujhe acha nahi hone deynge
Kuch to qurbat bhi teri raas nahi aayegi
Aor kuch log bhi aiesa nahi hone deynge
Mujh ko maloom hai mujh mein na thahrne wale
Mera khud mein kabhi hona nahi hone deynge

Kachi Deewar hn, thokar na lagana mujh ko..

Kachi Deewar hn, thokar na lagana mujh ko..
Apni Nazron me basa kar, na girana mujh ko,,
Tum ko aankhon me Tasavur ki tarhan rakhta hn..
Dil me dharkan ki tarhan tum b basana mujh ko,,
Bat karney me Jo Mushkil ho tumhen mehfil me,,
Me samjh jaon ga Nazron se batana mujh ko,,
Vada utna hi karo, Jitna Nibha saktey ho..
Khawab Pura Jo na ho, Vo na dikhana Mujh ko..
Apney Rishtay ki Nazakat ka bharam rakh lena..
Me to deewana hn, Pagal na banana mujh ko..

I wish I could see through your eyes....

I wish I could see through your eyes
so I would know what you like to see.
I wish I knew your wishes,
so I could give you everything you want.
I wish I dreamed the same dreams you do,
and together we could make them come true.
I wish I knew what makes you happy,
so I could make you the happiest person in the whole world.
And lastly, I wish I were a cell in your blood,
so I would be sure I was somewhere in your heart.

Mujhye shikast_e_dil ka maza yaad aa gaya...

Mujhye shikast_e_dil ka maza yaad aa gaya
Tum kyun udaas ho gaye kiya yaad aa gaya
Kahne ko zindagi thi bohot mukhtasir magar
Kuch yun basar hui k KHUDA yaad aa gaya
Mangeen ge ab duaa k use bhul jayeen ham
Lekin woh jo bowaqt_e_duaa yaad aa gaya
Hairat hay tum ko dekh k masjad main ae “Khumar”
Kiya baat ho gai jo KHUDA yaad aa gaya

Agar wo pyar kar leti....

Agar wo pyar kar leti
Mera daman pakar leti
To jeevan mai faqat us say
Mohabat farz ho jati
Mohabat qarz ho jati
Magar
Acha kiya us nay
Mujay samjha k chal nikli
Mujay thukra k chal nikli
Bohat nadan c hay wo
Abi anjaan c hai wo
Kahan maloom hay usko
Mohabat zindagi mai bus faqat ek baar milti hai
Agar thukra k chal niklain
To umrain beet jati hain
Mohabat ki tamana main
Magar
Har 1 rastay pay
Sirf ruswai milti hai
Fataq tanhai milti hai…

Kis Qadar Masoom...

Kis Qadar Masoom sa Lahja tha oska
”’,,,Sahil,,,”’
Dhiray se JAN keh Kah “Be JAN” kar Gaya..S

Monday, 21 February 2011

Chupkay se agar tm aajaon.

Es Bheegi sham ki saye me..
Chupkay se agar tum aajao.
Ye Sham suhani ho jay..
Rangeen Kahani ho jay..
Vo bat jo hm kah na saken.
Ankhon ki zabani ho jay..
Koi pyar ki bat tum chero..
Koi pyar ki baaat sunain hm.
Han pyar karain u hm dono..
Ye raat suhani ho jaey.
Me bethon teray pehlo me.
Kuch dil ki baten ho jaen.
Tum ungliyan phero meray balon me.
Hm meethi neend so jaen.
Is bheegi sham suhani me.
Chupkay se agar tm aajaon.