Saturday 30 April 2011

Kisi Ka Bhi Mein Dil Dukhane Se Darti Hoon ...

Kisi Ka Bhi Mein Dil Dukhane Se Darti Hoon

Dagha Khati Hoon Khud Laikin Dagha Dene Se Darti Hoon

Mein Munsif Hoon Zamane Ki Roosh Ko Dekh Kar Laikin

Jo Mujrim Hain Unhe Bhi Saza Dene Se Darti Hoon

Gadagar Ka Takaburr Dekh Kar Mein Dour-E-Hazir Me

Fakhiroun Ko Bhi Kuch Rah-E-Khuda Dene Se Darti Hoon

Jo Apne Mohsinoun Ki Qaderdani Se Hain Naa Waqif

Mein Uss Kamzarf Insaan Ko Dua Dene Se Bhi Darti Hoon

Jo Shar Angeez Hain Mujhko  Woh Yun Buzzdil Samajhte Hain

Ke Mein Nafrat Ke Sholoun Ko Hawa Dene Se Darti Hoon

Rahe Hain Muddatoun Aaloodah Jo  Khud Khoon-E-Insaan Se

Unhi Hathoun Ko Mein Hath Milane se Darti Hoon

Aandhiyoun Ki Nagri Me  Aaftab Apni Tajjali Se

Shikasta Aaiyanoun Ko Bhi  Jala Dene Se Darti Hoon

No comments:

Post a Comment