![]() Tarsi hui aankhon ko Aa jaye karaar aa ja Rah rah k bulata hay Tuj ko mera piyar aa ja Yeh rang bhari wadi Yeh phool yeh mehkareen Deti hain sada tuj ko Jharnon ki yeh jhankareen Is gati hui rut main Aey jaan_e_bahar aa ja Rukh moor na leen apna Jhonke yeh hawaoon k Badle huwe taiwar hain Makhmoor fazaoon k Tue aye to in par bhi Aa jaye nikhaar aa ja Agar muj se tere jalwe Sharmayeen ujaloon main Moun dhaanp k aa jana Tue mere khayaloon main Milna ho to milne k Raste hain hazaar aa ja |
No comments:
Post a Comment